Internet Amazing Fact | इंटरनेट के बारे में रोचक तथ्य
Internet Ko Hindi me antarrjall kahte hai. Pahle 5 karod logo tak pahuchne me telephone ko 75 saal, redio ko 38 saal, television ko 13saal aur internet ko matr 4 saal lage the. Ye Internet hi jiski wajah se aap hame padh rahe hai.
Internet Ka Aavishkar Kisne Kiya Tha ?
Vishw Me internet ki shuruaat Huyi 19 October, 1969 ko raat 10:30 Baje. Jab ULCA ke Ek program ‘Charli Clean’ ne 350 kilometre Dur Menlo Park California Me Do shabd “I” aur “O” electronically bheje the. Jiske bad pura system Band Ho Gaya Magar internet ka Aarambh Ho Gaya. Ese ‘ARPANet’ Naam Diya Gaya. Iske bad 1 January, 1983 ko ‘Vin Kerf’ aur ‘Robert E. Kahn’ dono ne Milkar TCP/IP protocol ka aavishkar Kiya aur ARPANet ko TCP/IP par migrate kar diya Gaya. Aaj internet esi se chalta hai. Vint aur Robert ko “Father of Internet” bhi Kaha jata hai.
WWW Ka Avishkar Kisne kiya Tha ?
www ka pura naam hai “World Wide Web” Kuchh log www ko hi internet samajh lete hai. Lekin Aisa nahi hai aapki Jankari ke liye Bata de ki www aur internet dono alag alag chij Hai. www sirf internet per maujud Panno ke liye hai. Jabki internet Iske alava bhi bahut bada Hai. Aasan shabdon me kahen to internet Ke Bina www Kuchh Bhi Nahi balki www ke bina internet bahut Kuchh Hai. www ka aavishkar “Tim Berners-Lee” aur “Robert Cailliau” Ne 1989 Me kar diya tha, lekin ise Aam Janata ke liye 6 August 1991 ko Shuru Kiya Gaya.
Read More……..
- Youtube Par Sabse Jyada Subscriber kiske hai.
- Fact Check: कोरोनोवायरस रोगियों का इलाज करते हुए अपनी जान दे दी।
- What Is Lockdown ? लॉकडाउन क्या है ?
Amazing Fact | Rochak Tathya
2. Aapko jankar hairani hogi ki Email, www se bhi puarana hai.
3. Kisi desh ke kul aabadi ke hisab se dekha jaye to Sweden ke sabase jyada log Internet se jude huye hai.
4. September 1995, se pahle Domain free me Register hote the.
5. 1999 me, Internet par sabse jyada search ki jane wali dusre number ki cheej ‘Pokemon’ thi. Pahle number par tab bhi Pornography hi thi.
6. Har mahi 10,000,000 se jyada naye domain register kiye jate hai. January 2018 ke anusar, internet par karib 1 arab 30 karod website hai.
7. Aaj aap chahe koyi bhi Browser use karte ho Google Chrome, Safari, Uc browser etc. lekin 1993 me internet ka pahla prashidh browser ‘Mosaic’ tha.
8. Internet par register hone wala pahla domain nem ‘www.symbolics.com’ tha . Ese 15 March, 1985 ko register kiya gya tha.
9. ‘www.web.archive.org’ ekyesi website hai jis par aap kisi bhi website url dalkar dekh sakte ho wo website pahle kaise dikhti thi.
10. Brazil me ‘Ecosia” naam ka ek search engine hai jo apni kul kamayi ka 80% ped (tree) lagane ke liye dan karta hai.
11. Aaj se 25 saal pahle, 1993 me internet par sirf 130 website thi. Google bhi nahi tha, aur eamil account banane ke liye ISP ke jariye paise dene padte the. ISp matlab, internet Service Provider.
12. Kisi domain nem ke liye sabse lambi kanuni ladayi PETA.org ke liye huyi hai. ‘People for the Ethical Treatment of Animals’ ne yah naam prapt karne ke liye ‘People Eating Tasty Animals’ par mukadama dayar kiya tha. Yah kesh 1995 se 2001 tak chala aur ant me ‘People for the Ethical Treatment of Animals’ ese jeet gayi.
13. Hotwired, jise ab Wired.com ke naam se jana jata pahli yesi website thi jisane Banner Ads Lagayi thi.
14. Har din bheje jane wale lagbhag 80% Email Spam hoti hati hai.
15. ‘@’ sing ka pryog etihas me Europe ki ek wajan mapne wali ek ekayi ke roop me hota tha jise ‘arroba’ kaha jata tha. Jisaka wajan 25lbs (11.34 kg.) ke saman hota tha.
16. Internet par bechi aur kharidi jane wali pahli chij ‘Ganje ka ek bag’ thi.
17. ‘The Pirate Bay’ (ek website) ne es umeed ke sath ek Iceland kharidne ki koshish ki thi ki ese ek desh bana diya jayege jaha koyi copyright kanoon nahi hoga.
18. Har din 30,000 se jyada website hack hoti hai.
19. America ke raspati ‘Bill Quinton’ ka January, 1997 ka udhaghatan internet ka pahla webcast tha.
20. Jab 21 October, 1994 ko White House kki pahli website launch ki gayi thi. Tab saayog se yah ek Porn website se link ho gyi thi.
21. Ethan Zukerman wo vyakti jisane pop-up ads ka idia diya tha, usko aaj bhi es bat ka khed hai ki usne internet par vigyapno ke liye sabse jyada napasand kiye jane wale tariko me se ek ko janm diya.
22. Narve ki sabhi kaidiyo ko apne apne kothri me Internet chalane ki anumati hai.
23. South Korea Mein Ek Kanoon Hai Jiske anusar 16 sal se kam Umar ke bacche Raat 12:00 baje se lekar Subah 6 baje tak online game Nahi Khel sakte hai ise shutdown Law Kaha jata hai
24. ‘AnthonyGreco’ pahla Aisa Insan tha Jisne 2005 Mei Spam message bhejne ke Jurm Mein girftar Kar Liya gaya tha.
25. Ek Aam Insan Ek Sal Mein internet per Itni term and condition agree karta hai ki agar unhen padhne ke liye baith Jaaye Aur Din Mein 8 ghante padhe to lagbhag 76 Din lag jaenge.
26. Google Ek Din Mein lagbhag 6,586,013,574 search hote hai. Jinse 15% Aise Hote Hain Jo Google ne bhi Pahle Kabhi Nahin Dekhe.
27. Cars.com internet per ab tak ka sabse mahanga bikane wala Domain hai. Keemat $872 million
28. Bhart me Aam Janata ke liye internet ki shuruaat 14 August 1995 ko VSNL (Videsh Sanchar Nigam Limited) dwara ki Gayi thi.
29. Sabse hairan karne wala tathya ye hai ki Google khud yah Baat Kahta Hai Ki Uske pass internet Me kul data ka sirf 0.004% Hai Baki ke 99.996% ko ‘Deep Web’ ke naam se Jana jata hai.