Gyan

Aarogya Setu App Kaise Kam Karta Hai Aur Ese Kaise Use Kare

Jaisa ki sabhi ko pata hai ki Corona naam ka ek virus Puri Duniya Mein fail raha hai. Usi ko rokane ke liye bahut se desho me Lockdown kar diya gaya hai. Sath hi Hamare Desh Bharat mein bhi lockdown kar diya Gaya Hai. Esi coronavirus se nipatne ke liye ab Sabhi desho Ne Technology Ka Sahara Lena Shuru kar diya hai. Sath hi Bharat mein bhi Technology Ka Sahara Lena Shuru kar diya hai. Usi Technology Ka Sahara lete Hue India mein ek App Ka Nirman Kiya Gaya Hai Jiska Naam Aarogya Setu hai

Aarogya Setu App image

Aarogya Setu App kya hai ?

Aarogya setu ek mobile app Hai jise Bharat Sarkar dwara coronavirus ko rokane ke liye Banaya Gaya Hai. Jiseke upyog se Bharat me kam se kam coronavirus ka Sankraman hoga.

Aarogy Setu App Kitni Bhashaon me Uplabdh Hai ?


Arogya Setu app 11 Se Jyada Bhartiy bhashaon ko jisme Shamil Hain Hindi, Gujarati, Marathi aur English ityadi. Vahi dusre Bhasha ko Dhire Dhire isme Shamil Kiya ja raha hai. Itne sare bhashaon ke hone ka matlab yah Hai Ki Desh Ke Jyada Se Jyada log apni bhasha mein yah mahatvpurn Jankari prapt kar sake.

Aarogya Setu App Kaise kaam karta hai ?


Jab aap is app ko install Karke isme registered Karenge to aapse Kuchh Jaruri detail puchta hai.

  • Aap Pichhle Ek Do mahine Me Kahi dusre Desh Gaye Aaye To Nahin.
  • Aap Kisi Corona Shankarmit vyakti ke Sampark me Aaye To Nahi.
  • Aapke andar Corona ke Koyi Lakshan To Nahin Hai.
  • Agar aap ko khansi jukam Bukhar hai to vah aapko Hamesha hone wala sadharan Sankraman Hai yah pahli bar Hua Hai.


Upar batai Gayi Jankari aapko Sahi Sahi bharna Hota Hai aur apni location aur bluetooth ka access dena hai aur fir yah app di Gayi Jankari ke hisab se Corona sankramit hone wala anuman lagata hai aur location Ke jariye Jab Koyi Corona sankramit vyakti aap ke Sampark me aata hai to Ye app aapko notification bhejkar Savdhan kar deta hai.

Arogya Setu ka use kaise karen ?


Sabse pahle aapko Google Play Store se ya Apple App Store se Arogya Setu app install kar lena hai aur uske bad is app mein apna mobile number dalkar account bana lena hai aur fir is app me Mangi Gayi Jankari Sahi Sahi Bhar dena hai. Jaise hi aap isme account Banakar isme apni Jankari bharenge Uske bad Jab Bhi Koyi Coronavirus se sankramit vyakti aapke aaspaas hoga to yah app aapko Bata dega aur aap alert ho Jaenge fir aap Savdhan hokar Corona ke Sankraman se Bach Payenge.

Arogya Setu app download kaise kare aur upyog kaise kare ?


Arogya Setu app Ko download kaise karenge aur use Me account kaise Banayenge Sabhi jankariya yaha di gayi hai.

1. Sabse pahle aapko apne mobile phone me Google Play Store Khol lena hai.

2. Ab aapko vaha ek Search bar Dikhayi Dega. Aapko vaha Arogy Seto likh kar search karna hai aur pahle app per click kar de Ya Niche Downloa per click Karke aarogya Setu app install Karen.



3. Ab aapke Samne Arogy Setu namak App pare Jaye, aapko install per click kar dena hai.


Aarogya Setu App ki jankari


4. Jab aarogya Setu app install ho jaaye to use open karna hai aur apni pasandida Bhasha chnana hai.

5. Ab aapko Register per click karna hai aur Bluetooth aur location ko allow karna hai aur mobile number dalkar submit per click kar dena hai.

Aarogya Setu App Kaise Kam Karta


6. ab aap ke mobile number per Ek OTP code (One Time Password) Jayega. Aapko vah code bharna hai aur submit per click kar dena hai.

7. Ab aapse Kuchh details poochhi Jayegei jaise name, gender, age etc vahan per aapse jo bhi Jankari poochha Jaaye aapko bilkul sahi Sahi Bhar dena hai.

Aarogya Setu App Ki Jankari image


8. Sabhi Jankari Sahi Sahi bharane ke bad aapko submit per click kar dena hai.

Aarogya Setu App Ki Jankari hindi


9. Ab aap ka mobile number registered ho gaya hai.

Aarogya Setu App hindi


Ab aapka kaam ho gya hai. Ab yah App apna kaam karna shuru kar dega. Jaise hi koyo bhi Corona se Sankramit vyakti Aapke Aas-Pass aayega to ye app aapko turant Notification ke Jariye Alert kar dega.

Is Tarah Se aap Aarogya Setu App ko estemal Karke isme apna mobile number dalkar registered kar sakte hain Aur fir Jab Bhi Koyi Corona se sankramit vyakti aapke pass aayega tab yah app aapko notification bhej dega.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button